Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu kash mile mujhko akeli to bataun

Chand Akbarabadi

tu kash mile mujhko akeli to bataun

Chand Akbarabadi

MORE BYChand Akbarabadi

    kaash mile mujh ko akelī to batā.ūñ

    suljhe mirī qismat pahelī to batā.ūñ

    aane se tire pahle ḳhabar de havā ne

    āñkhoñ pe mire rakh hathelī to batā.ūñ

    mahke haiñ tire jism ḳhushbū se fazā.eñ

    nārāz na hoñ champā chamelī to batā.ūñ

    kyoñ tere muqaddar meñ nahīñ merī mohabbat

    dikhlā.e be-rañg hathelī to batā.ūñ

    vīrāniyāñ tanhā.iyāñ mausam hai ḳhizāñ

    anvār karo dil havelī to batā.ūñ

    chehre pe mire raaz TaTolā na karo tum

    hamrāz bane aañkh nashīlī to batā.ūñ

    iz.hār-e-mohabbat talab dil meñ liye huuñ

    tanhā jo mile terī sahelī to batā.ūñ

    āñkhoñ meñ tirī yaad kahīñ zaḳhm na kar de

    nikle ye agar phāñs nukīlī to batā.ūñ

    tu kash mile mujh ko akeli to bataun

    suljhe meri qismat ki paheli to bataun

    aane se tere pahle KHabar de di hawa ne

    aankhon pe mere rakh tu hatheli to bataun

    mahke hain tere jism ki KHushbu se fazaen

    naraaz na hon champa chameli to bataun

    kyon tere muqaddar mein nahin meri mohabbat

    dikhlae tu be-rang hatheli to bataun

    viraniyan tanhaiyan mausam hai KHizan ka

    anwar karo dil ki haweli to bataun

    chehre pe mere raaz TaTola na karo tum

    hamraaz bane aankh nashili to bataun

    izhaar-e-mohabbat ki talab dil mein liye hun

    tanha jo mile teri saheli to bataun

    aankhon mein teri yaad kahin zaKHm na kar de

    nikle ye agar phans nukili to bataun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now