tu kare jo faisla aaj kar meri baat sun tu abhi na ja
tu kare jo faisla aaj kar meri baat sun tu abhi na ja
Arpit Sharma Arpit
MORE BYArpit Sharma Arpit
tū kare jo faisla aaj kar mirī baat sun tū abhī na jā
mire dard-e-dil kā ilaaj kar mirī baat sun tū abhī na jā
abhī jaane jaane kī zid na kar yahāñ rūThā rūThā hai saarā ghar
kabhī ḳhush to merā mizāj kar mirī baat sun tū abhī na jā
maiñ marīz huuñ tire hijr kā zarā haath meñ mirā haath le
tū ġhamoñ kā mere ilaaj kar mirī baat sun tū abhī na jā
basī rang-o-nūr meñ zindagī hai javān shab to fazā hasīñ
mire jān-o-dil pe tū raaj kar mirī baat sun tū abhī na jā
tū chhalakte ashkoñ ko dekh le zarā sun le ye mirā hāl-e-dil
yuuñ na saḳht apnā mizāj kar mirī baat sun tū abhī na jā
kyā hasīn rāhguzar hai ye baḌī lazzatoñ kā safar hai ye
na ḳhayāl-e-taḳhta-o-tāj kar mirī baat sun tū abhī na jā
ye duā hai 'arpit'-e-ḳhās kī zarā dekh le zarā soch le
tū zarā zamāne kī laaj kar mirī baat sun tū abhī na jā
tu kare jo faisla aaj kar meri baat sun tu abhi na ja
mere dard-e-dil ka ilaj kar meri baat sun tu abhi na ja
abhi jaane jaane ki zid na kar yahan ruTha ruTha hai sara ghar
kabhi KHush to mera mizaj kar meri baat sun tu abhi na ja
main mariz hun tere hijr ka zara hath mein mera hath le
tu ghamon ka mere ilaj kar meri baat sun tu abhi na ja
basi rang-o-nur mein zindagi hai jawan shab to faza hasin
mere jaan-o-dil pe tu raj kar meri baat sun tu abhi na ja
tu chhalakte ashkon ko dekh le zara sun le ye mera haal-e-dil
yun na saKHt apna mizaj kar meri baat sun tu abhi na ja
kya hasin rahguzar hai ye baDi lazzaton ka safar hai ye
na KHayal-e-taKHta-o-taj kar meri baat sun tu abhi na ja
ye dua hai 'arpit'-e-KHas ki zara dekh le zara soch le
tu zara zamane ki laj kar meri baat sun tu abhi na ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.