tu KHud ko dekh le kitna daraaz-qamat hai
tū ḳhud ko dekh le kitnā darāz-qāmat hai
tirā falak to mire chāñd kī badaulat hai
kisī bhī haal meñ ham ḳharch kar nahīñ sakte
hamārā dard tirī dī huī amānat hai
mirā vajūd abhī barf kī misāl nahīñ
bachī huī abhī is raakh meñ tamāzat hai
javāb iiñT kā denā paḌegā patthar se
yahī hai rasm yahāñ kī yahī rivāyat hai
ajiib chār-taraf hai fazā meñ ḳhāmoshī
ye kyā maqām hai kis qahr kī alāmat hai
nahīñ charāġh to jugnū kā qāfila bheje
bahut siyāh hai rasta bahut zarūrat hai
'nisār' tez qadam hai bahut ye duniyā to
ki ab paḌāv bhī karnā tujhe qayāmat hai
tu KHud ko dekh le kitna daraaz-qamat hai
tera falak to mere chand ki badaulat hai
kisi bhi haal mein hum KHarch kar nahin sakte
hamara dard teri di hui amanat hai
mera wajud abhi barf ki misal nahin
bachi hui abhi is rakh mein tamazat hai
jawab inT ka dena paDega patthar se
yahi hai rasm yahan ki yahi riwayat hai
ajib chaar-taraf hai faza mein KHamoshi
ye kya maqam hai kis qahr ki alamat hai
nahin charagh to jugnu ka qafila bheje
bahut siyah hai rasta bahut zarurat hai
'nisar' tez qadam hai bahut ye duniya to
ki ab paDaw bhi karna tujhe qayamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.