tu ki anjaan hai is shahr ke aadab samajh
tū ki anjān hai is shahr ke ādāb samajh
phuul ro.e to use ḳhanda-e-shādāb samajh
kahīñ aa jaa.e mayassar to muqaddar terā
varna āsūdgī-e-dahr ko nāyāb samajh
hasrat-e-girya meñ jo aag hai ashkoñ meñ nahīñ
ḳhushk āñkhoñ ko merī chashma-e-be-āb samajh
mauj-e-dariyā hī ko āvāra-e-sad-shauq na kah
reg-e-sāhil ko bhī lab-tishna-e-sailāb samajh
ye bhī vā hai kisī mānūs kiran kī ḳhātir
rauzan-e-dar ko bhī ik dīda-e-be-ḳhvāb samajh
ab kise sāhil-e-ummīd se taktā hai 'farāz'
vo jo ik kashti-e-dil thī use ġharqāb samajh
tu ki anjaan hai is shahr ke aadab samajh
phul roe to use KHanda-e-shadab samajh
kahin aa jae mayassar to muqaddar tera
warna aasudgi-e-dahr ko nayab samajh
hasrat-e-girya mein jo aag hai ashkon mein nahin
KHushk aankhon ko meri chashma-e-be-ab samajh
mauj-e-dariya hi ko aawara-e-sad-shauq na kah
reg-e-sahil ko bhi lab-tishna-e-sailab samajh
ye bhi wa hai kisi manus kiran ki KHatir
rauzan-e-dar ko bhi ek dida-e-be-KHwab samajh
ab kise sahil-e-ummid se takta hai 'faraaz'
wo jo ek kashti-e-dil thi use gharqab samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.