tu koi KHwab nahin jis se kinara kar len
tū koī ḳhvāb nahīñ jis se kinārā kar leñ
kyuuñ na pahle se ta.alluq pe guzārā kar leñ
aisī vahshat hai ki kamre meñ paḌe sochte haiñ
kholīñ khiḌkī koī manzar hī gavārā kar leñ
hāsil-e-vasl se dilkash hai miyāñ ḳhvāhish-e-vasl
hijr darpesh jo hai, us pe guzārā kar leñ
ham ne tāḳhīr se sīkhe haiñ mohabbat ke usuul
ham pe lāzim hai, tirā ishq dobāra kar leñ
ye bhī mumkin hai tujhe dil se bhulā deñ, ham log
ye bhī mumkin hai tujhe jaan se pyārā kar leñ
tu koi KHwab nahin jis se kinara kar len
kyun na pahle se talluq pe guzara kar len
aisi wahshat hai ki kamre mein paDe sochte hain
kholin khiDki koi manzar hi gawara kar len
hasil-e-wasl se dilkash hai miyan KHwahish-e-wasl
hijr darpesh jo hai, us pe guzara kar len
hum ne taKHir se sikhe hain mohabbat ke usul
hum pe lazim hai, tera ishq dobara kar len
ye bhi mumkin hai tujhe dil se bhula den, hum log
ye bhi mumkin hai tujhe jaan se pyara kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.