tu kyun pas se uTh chala baiThe baiThe
tū kyuuñ paas se uTh chalā baiThe baiThe
huā tujh ko kyā bevafā baiThe baiThe
vo aate hī aate rahe par qalaq se
mirā kaam hī ho gayā baiThe baiThe
uThāte ho kyuuñ apnī mahfil se mujh ko
liyā maiñ ne kyā aap kā baiThe baiThe
kare sa.ī kuchh uTh ke us kū se ai dil
ye hāsil huā mudda.ā baiThe baiThe
vo is lutf se gāliyāñ de ga.e haiñ
kiyā karte haiñ ham duā baiThe baiThe
zarā ghar se bāhar nikal maan kahnā
na hogā koī mubtalā baiThe baiThe
na uTThā gayā dil ke hāthoñ se 'taskīñ'
kahā us ne jo sab sunā baiThe baiThe
tu kyun pas se uTh chala baiThe baiThe
hua tujh ko kya bewafa baiThe baiThe
wo aate hi aate rahe par qalaq se
mera kaam hi ho gaya baiThe baiThe
uThate ho kyun apni mahfil se mujh ko
liya main ne kya aap ka baiThe baiThe
kare sai kuchh uTh ke us ku se ai dil
ye hasil hua muddaa baiThe baiThe
wo is lutf se galiyan de gae hain
kiya karte hain hum dua baiThe baiThe
zara ghar se bahar nikal man kahna
na hoga koi mubtala baiThe baiThe
na uTTha gaya dil ke hathon se 'taskin'
kaha us ne jo sab suna baiThe baiThe
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 103)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.