tū mayassar nahīñ hai sardī hai
aur december kī ġhunda-gardī hai
TuuT jaa.e agar to har anDā
kuchh safedī hai aur zardī hai
ek vardī hai maas bhī goyā
ek vardī ke pīchhe vardī hai
'najm' jholī hai aañkh bhī goyā
ham ne phailā.ī us ne bhar dī hai
tu mayassar nahin hai sardi hai
aur december ki ghunda-gardi hai
TuT jae agar to har anDa
kuchh safedi hai aur zardi hai
ek wardi hai mas bhi goya
ek wardi ke pichhe wardi hai
'najm' jholi hai aankh bhi goya
hum ne phailai us ne bhar di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.