tu mera dost mera yar hai nahin hai kya
tū merā dost mirā yaar hai nahīñ hai kyā
tire bhī dil meñ bahut pyaar hai nahīñ hai kyā
zarā sī baat pe maiñ tum se ruuTh jaatā huuñ
ye mere ishq kā iz.hār hai nahīñ hai kyā
maiñ apne aap se thoḌā bahut muta.assir huuñ
ye merī zaat ko āzār hai nahīñ hai kyā
yuuñ apne aap ko barbād kartā hai koī
ai mere dil tū samajhdār hai nahīñ hai kyā
vo ek shai jo kabhī aañkh meñ nahīñ utrī
tū bhī to us kā talabgār hai nahīñ hai kyā
tu mera dost mera yar hai nahin hai kya
tere bhi dil mein bahut pyar hai nahin hai kya
zara si baat pe main tum se ruTh jata hun
ye mere ishq ka izhaar hai nahin hai kya
main apne aap se thoDa bahut mutassir hun
ye meri zat ko aazar hai nahin hai kya
yun apne aap ko barbaad karta hai koi
ai mere dil tu samajhdar hai nahin hai kya
wo ek shai jo kabhi aankh mein nahin utri
tu bhi to us ka talabgar hai nahin hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.