tu meri ninden talashta hai yahi bahut hai
tū merī nīñdeñ talāshtā hai yahī bahut hai
tū mere ḳhvāboñ meñ jāgtā hai yahī bahut hai
zamāna tujh ko harīf kah le use ye haq hai
mirī nazar meñ tū devtā hai yahī bahut hai
bahār meñ tū na jaane kaise kahāñ pe ġham thā
ḳhizāñ meñ mujh ko pukārtā hai yahī bahut hai
jahāñ charāġhoñ kī lau ḳhamoshī se chup huī haiñ
vahāñ pe āḳhir tū boltā hai yahī bahut hai
ḳhayāloñ ke ye sarāb tujh ko Dubo hī deñge
jise tū kahtā hai rāsta hai yahī bahut hai
ga.e dinoñ kī 'ajīb yādoñ ko bhuul jaao
tujhe ik 'ālam' jo chāhtā hai yahī bahut hai
tu meri ninden talashta hai yahi bahut hai
tu mere KHwabon mein jagta hai yahi bahut hai
zamana tujh ko harif kah le use ye haq hai
meri nazar mein tu dewta hai yahi bahut hai
bahaar mein tu na jaane kaise kahan pe gham tha
KHizan mein mujh ko pukarta hai yahi bahut hai
jahan charaghon ki lau KHamoshi se chup hui hain
wahan pe aaKHir tu bolta hai yahi bahut hai
KHayalon ke ye sarab tujh ko Dubo hi denge
jise tu kahta hai rasta hai yahi bahut hai
gae dinon ki 'ajib yaadon ko bhul jao
tujhe ek 'alam' jo chahta hai yahi bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.