tu mere gham se aashna kab tha
tū mire ġham se āshnā kab thā
ġham-zada huuñ tujhe pata kab thā
chitr terā koī banā kab thā
ik diyā thā magar jalā kab thā
aa to jaatī tire qarīb magar
koī aane kā rāsta kab thā
aks kaise sambhāl kar rakhtī
TuuT kar aa.ina bachā kab thā
merī ḳhāmoshiyoñ ko bolne kā
tū ne mauqa koī diyā kab thā
dard ko kuchh davā bhī chāhiye thī
dard kā koī silsila kab thā
tu mere gham se aashna kab tha
gham-zada hun tujhe pata kab tha
chitr tera koi bana kab tha
ek diya tha magar jala kab tha
aa to jati tere qarib magar
koi aane ka rasta kab tha
aks kaise sambhaal kar rakhti
TuT kar aaina bacha kab tha
meri KHamoshiyon ko bolne ka
tu ne mauqa koi diya kab tha
dard ko kuchh dawa bhi chahiye thi
dard ka koi silsila kab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.