tu mere jigar ka qarar hai tu meri nazar ki talash hai
tu mere jigar ka qarar hai tu meri nazar ki talash hai
Haleema Sadiya Shagufta
MORE BYHaleema Sadiya Shagufta
tū mire jigar kā qarār hai tū mirī nazar kī talāsh hai
tujhe bhuul saktī huuñ kis tarah ki tū umr bhar kī talāsh hai
mire ham-nafas mire ham-navā mirī zindagī kā har ek pal
hai udaas kittā tū dekh le tirī ik nazar kī talāsh hai
mire ḳhvāb meñ mirī saañs meñ mirī soch mere ḳhayāl meñ
tire hijr kī shab-e-tār hai kisī ik qamar kī talāsh hai
hai udaas chāñd kī chāñdnī hai guloñ kā husn bhī be-asar
maiñ jabīñ meñ sajde liye phirūñ kisī sang-e-dar kī talāsh hai
tirī zulf bikhre chale havā tire lab khuleñ to kalī khile
hameñ zer-e-sāya sukūñ mile usī ik shajar kī talāsh hai
tu mere jigar ka qarar hai tu meri nazar ki talash hai
tujhe bhul sakti hun kis tarah ki tu umr bhar ki talash hai
mere ham-nafas mere ham-nawa meri zindagi ka har ek pal
hai udas kitta tu dekh le teri ek nazar ki talash hai
mere KHwab mein meri sans mein meri soch mere KHayal mein
tere hijr ki shab-e-tar hai kisi ek qamar ki talash hai
hai udas chand ki chandni hai gulon ka husn bhi be-asar
main jabin mein sajde liye phirun kisi sang-e-dar ki talash hai
teri zulf bikhre chale hawa tere lab khulen to kali khile
hamein zer-e-saya sukun mile usi ek shajar ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.