tu mujhko chahta hai is mughaalte mein rahun
tū mujh ko chāhtā hai is muġhālte meñ rahūñ
kabhī karam bhī kiyā kar ki aasre meñ rahūñ
jo merī soch ko gahrā.iyoñ kī shiddat de
maiñ zaḳhm zaḳhm kisī aise sānehe meñ rahūñ
jo merī ruuh kī barfāb rut ko hiddat de
tamām umr tire qurb dā.ere meñ rahūñ
jo tere qurb ke lamhoñ se miltā-jultā ho
maiñ vaqt toḌ ke ek aise silsile meñ rahūñ
vo jo maqām hai terā mirī kahānī meñ
usī maqām pe maiñ tere tazkire meñ rahūñ
ab is qadar to na ho intizār-e-dīd tirā
ki muntazir tire ḳhvāboñ kā ratjage meñ rahūñ
sharīk koī na ho jis meñ terā mere sivā
maiñ tujh se munsalik ik aise vāqiye meñ rahūñ
tu mujh ko chahta hai is mughaalte mein rahun
kabhi karam bhi kiya kar ki aasre mein rahun
jo meri soch ko gahraiyon ki shiddat de
main zaKHm zaKHm kisi aise sanehe mein rahun
jo meri ruh ki barfab rut ko hiddat de
tamam umr tere qurb daere mein rahun
jo tere qurb ke lamhon se milta-julta ho
main waqt toD ke ek aise silsile mein rahun
wo jo maqam hai tera meri kahani mein
usi maqam pe main tere tazkire mein rahun
ab is qadar to na ho intizar-e-did tera
ki muntazir tere KHwabon ka ratjage mein rahun
sharik koi na ho jis mein tera mere siwa
main tujh se munsalik ek aise waqiye mein rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.