tu nahin dil mein magar tera nishan baqi hai
tū nahīñ dil meñ magar terā nishāñ baaqī hai
bujh ga.ī aag mohabbat kī dhuāñ baaqī hai
maiñ agar tujh meñ nahīñ huuñ to koī baat nahīñ
tū bhī ab mujh meñ mirī jaan kahāñ baaqī hai
maiñ tire bevafā hone se pareshān nahīñ
dil lagāne ko abhī saarā jahāñ baaqī hai
jis jagah ham ne calender meñ judā.ī likhī
ik mulāqāt kī tārīḳh vahāñ baaqī hai
merā vishvās mohabbat se nahīñ uTh saktā
jab talak shahr meñ phūloñ kī dukāñ baaqī hai
tu nahin dil mein magar tera nishan baqi hai
bujh gai aag mohabbat ki dhuan baqi hai
main agar tujh mein nahin hun to koi baat nahin
tu bhi ab mujh mein meri jaan kahan baqi hai
main tere bewafa hone se pareshan nahin
dil lagane ko abhi sara jahan baqi hai
jis jagah hum ne calender mein judai likhi
ek mulaqat ki tariKH wahan baqi hai
mera wishwas mohabbat se nahin uTh sakta
jab talak shahr mein phulon ki dukan baqi hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 104)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.