tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se uTha diya
tū ne apnā jalva dikhāne ko jo naqāb muñh se uThā diyā
vahīñ mahv-e-hairat-e-be-ḳhudī mujhe aa.ina sā banā diyā
vo jo naqsh-e-pā kī tarah rahī thī numūd apne vajūd kī
so kashish ne dāman-e-nāz kī use bhī zamīñ se miTā diyā
rag-o-pai meñ aag bhaḌak uThī phuñke hai paḌā ye sabhī badan
mujhe sāqiyā mai-e-ātishīñ kā ye jaam kaisā pilā diyā
jabhī jā ke maktab-e-ishq meñ sabaq-e-maqām-e-fanā liyā
jo likhā paḌhā thā 'niyāz' ne so vo saaf dil se bhulā diyā
tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se uTha diya
wahin mahw-e-hairat-e-be-KHudi mujhe aaina sa bana diya
wo jo naqsh-e-pa ki tarah rahi thi numud apne wajud ki
so kashish ne daman-e-naz ki use bhi zamin se miTa diya
rag-o-pai mein aag bhaDak uThi phunke hai paDa ye sabhi badan
mujhe saqiya mai-e-atishin ka ye jam kaisa pila diya
jabhi ja ke maktab-e-ishq mein sabaq-e-maqam-e-fana liya
jo likha paDha tha 'niyaz' ne so wo saf dil se bhula diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.