tu ne apna na banaya to koi baat nahin
tū ne apnā na banāyā to koī baat nahīñ
dil ko ham se na lagāyā to koī baat nahīñ
ham to hamrāz the tere hī sadā se jānāñ
haal dil kā na sunāyā to koī baat nahīñ
ham to āshiq the tire barsoñ purāne jānam
ham ko ḳhvāboñ meñ satāyā to koī baat nahīñ
ham taraste hī rahe diid ko terī har pal
tū ne va.ada na nibhāyā to koī baat nahīñ
jaan dete haiñ mohabbat meñ sanam dil vaale
tū ne ham ko na manāyā to koī baat nahīñ
tu ne apna na banaya to koi baat nahin
dil ko hum se na lagaya to koi baat nahin
hum to hamraaz the tere hi sada se jaanan
haal dil ka na sunaya to koi baat nahin
hum to aashiq the tere barson purane jaanam
hum ko KHwabon mein sataya to koi baat nahin
hum taraste hi rahe did ko teri har pal
tu ne wada na nibhaya to koi baat nahin
jaan dete hain mohabbat mein sanam dil wale
tu ne hum ko na manaya to koi baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.