tu ne kamal kaam ye nadan kar diya
tū ne kamāl kaam ye nādān kar diyā
ghar meñ mujhe ḳhud apnā hī mehmān kar diyā
bas ik zarā sī bhuul huī iḳhtilāf kī
be-daḳhl kar ke taḳht se darbān kar diyā
ai bad-nasīb merā yaqīñ mujh se chhīn kar
tujh ko ye zo.am hai mirā nuqsān kar diyā
buzdil thā maiñ jo kar na sakā ḳhud ye intizām
sad-shukr tum ne maut kā sāmān kar diyā
haa.e lagā ke aag charāġhāñ ke shauq meñ
hākim ne saare shahr ko vīrān kar diyā
qad se mirā savāl baḌā thā so is liye
mohsin ko apne dāḳhil-e-zindān kar diyā
ḳhairāt de ke guzrā hai jo mere paas se
us ne kabhī mujhe bhī thā bhagvān kar diyā
yuuñ to maiñ mohtasib rahā apnā tamām umr
tum ne magar batā ke ye hairān kar diyā
'safdar' qunūtiyat kā ye e.azāz jo milā
e.azāz dene vaale ne ehsān kar diyā
tu ne kamal kaam ye nadan kar diya
ghar mein mujhe KHud apna hi mehman kar diya
bas ek zara si bhul hui iKHtilaf ki
be-daKHl kar ke taKHt se darban kar diya
ai bad-nasib mera yaqin mujh se chhin kar
tujh ko ye zoam hai mera nuqsan kar diya
buzdil tha main jo kar na saka KHud ye intizam
sad-shukr tum ne maut ka saman kar diya
hae laga ke aag charaghan ke shauq mein
hakim ne sare shahr ko viran kar diya
qad se mera sawal baDa tha so is liye
mohsin ko apne daKHil-e-zindan kar diya
KHairaat de ke guzra hai jo mere pas se
us ne kabhi mujhe bhi tha bhagwan kar diya
yun to main mohtasib raha apna tamam umr
tum ne magar bata ke ye hairan kar diya
'safdar' qunutiyat ka ye eazaz jo mila
eazaz dene wale ne ehsan kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.