Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu ne kyun humse tawaqqo na musafir rakkhi

Zafar Ajmi

tu ne kyun humse tawaqqo na musafir rakkhi

Zafar Ajmi

ne kyuuñ ham se tavaqqo na musāfir rakkhī

ham ne to jaañ bhī tire vāste hāzir rakkhī

haañ ab us samt nahīñ jaanā par ai dil ai dil

baam par us ne koī sham.a agar phir rakkhī

ye alag baat ki vo dil se kisī aur thā

baat to us ne hamārī bhī ba-zāhir rakkhī

ab kisī ḳhvāb zanjīr nahīñ paañv meñ

taaq par vasl ummīd bhī āḳhir rakkhī

jab bhī chāhtā marne ko hazāroñ the javāz

zindagī ham ne salāmat tirī ḳhātir rakkhī

hijr shab koī va.ada na koī yaad 'zafar'

ne kyā chiiz bachā kar mire shā.er rakkhī

tu ne kyun hum se tawaqqo na musafir rakkhi

hum ne to jaan bhi tere waste hazir rakkhi

han ab us samt nahin jaana par ai dil ai dil

baam par us ne koi shama agar phir rakkhi

ye alag baat ki wo dil se kisi aur ka tha

baat to us ne hamari bhi ba-zahir rakkhi

ab kisi KHwab ki zanjir nahin panw mein

taq par wasl ki ummid bhi aaKHir rakkhi

jab bhi ji chahta marne ko hazaron the jawaz

zindagi hum ne salamat teri KHatir rakkhi

hijr ki shab koi wada na koi yaad 'zafar'

tu ne kya chiz bacha kar mere shaer rakkhi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now