tu shab-o-roz se halkan nazar aata hai
tū shab-o-roz se halkān nazar aatā hai
chand hī roz kā mehmān nazar aatā hai
ḳhushk āñkhoñ meñ basā dard kā sahrā dekho
har koī chāk-garebān nazar aatā hai
ab talak merī samajh meñ nahīñ aaya ki ye ghar
kis ke jaane pe bayābān nazar aatā hai
Daal rakkhe haiñ mohabbat ke arīze ham ne
kyoñ ye dariyā tumheñ sunsān nazar aatā hai
chāhtā huuñ ki kisī kaam hī aa jā.ūñ kahīñ
par sabhī ko safar āsān nazar aatā hai
tu shab-o-roz se halkan nazar aata hai
chand hi roz ka mehman nazar aata hai
KHushk aankhon mein basa dard ka sahra dekho
har koi chaak-gareban nazar aata hai
ab talak meri samajh mein nahin aaya ki ye ghar
kis ke jaane pe bayaban nazar aata hai
Dal rakkhe hain mohabbat ke arize hum ne
kyon ye dariya tumhein sunsan nazar aata hai
chahta hun ki kisi kaam hi aa jaun kahin
par sabhi ko safar aasan nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.