tu suKHanwar hai to kar haq se wafa harf-ba-harf
tū suḳhanvar hai to kar haq se vafā harf-ba-harf
farz shā'ir kā sadāqat se nibhā harf-ba-harf
DhūñD aflāk na.e aur zamīneñ bhī na.ī
ho ġhazal kā tirī har she'r nayā harf-ba-harf
naqsh ko lafz meñ manzar ko ibārat meñ badal
phir jo dekhā tirī āñkhoñ ne dikhā harf-ba-harf
lailā majnūñ ke fasāne ke bahāne hī sahī
apnī rūdād zamāne ko sunā harf-ba-harf
rang-o-alfāz meñ jur.at kahāñ jo khīñcheñ sanam
hū-ba-hū terī chhaTā terī adā harf-ba-harf
she'r meñ yuuñ hī nahīñ rang-e-taġhazzul aayā
ḳhūn-e-dil se ise sīñchā hai gayā harf-ba-harf
ham nahīñ vo jo tarannum ko suḳhan kahte haiñ
ham ne har she'r meñ mā'nī hai bharā harf-ba-harf
shaiḳh achchhā huā tū hāfiz-e-qur.ān huā
ab ik aayat pe amal kar ke dikhā harf-ba-harf
kar buland apnī sadā haq meñ ġharīboñ ke 'sadā'
aur utar apne taḳhallus pe kharā harf-ba-harf
tu suKHanwar hai to kar haq se wafa harf-ba-harf
farz sha'ir ka sadaqat se nibha harf-ba-harf
DhunD aflak nae aur zaminen bhi nai
ho ghazal ka teri har she'r naya harf-ba-harf
naqsh ko lafz mein manzar ko ibarat mein badal
phir jo dekha teri aankhon ne dikha harf-ba-harf
laila majnun ke fasane ke bahane hi sahi
apni rudad zamane ko suna harf-ba-harf
rang-o-alfaz mein jurat kahan jo khinchen sanam
hu-ba-hu teri chhaTa teri ada harf-ba-harf
she'r mein yun hi nahin rang-e-taghazzul aaya
KHun-e-dil se ise sincha hai gaya harf-ba-harf
hum nahin wo jo tarannum ko suKHan kahte hain
hum ne har she'r mein ma'ni hai bhara harf-ba-harf
shaiKH achchha hua tu hafiz-e-quran hua
ab ek aayat pe amal kar ke dikha harf-ba-harf
kar buland apni sada haq mein gharibon ke 'sada'
aur utar apne taKHallus pe khara harf-ba-harf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.