tu suraj hai teri taraf dekha nahin ja sakta
tū sūraj hai terī taraf dekhā nahīñ jā saktā
lekin dekhne vāloñ ko rokā nahīñ jā saktā
ab jo lahar hai pal bhar baad nahīñ hogī yaanī
ik dariyā meñ dūsrī baar utrā nahīñ jā saktā
ab bhī vaqt hai apnī ravish tabdīl karo varna
jo kuchh hone vaalā hai sochā nahīñ jā saktā
us kī galī meñ jaane se use milne se ḳhud ko
rokā jā saktā hai par rokā nahīñ jā saktā
kisī ko chāhat aur kisī ko nafrat mārtī hai
koī bhī ho use marte to dekhā nahīñ jā saktā
ek taraf tire husn kī hairat ek taraf duniyā
aur duniyā meñ der talak Thahrā nahīñ jā saktā
tu suraj hai teri taraf dekha nahin ja sakta
lekin dekhne walon ko roka nahin ja sakta
ab jo lahar hai pal bhar baad nahin hogi yani
ek dariya mein dusri bar utra nahin ja sakta
ab bhi waqt hai apni rawish tabdil karo warna
jo kuchh hone wala hai socha nahin ja sakta
us ki gali mein jaane se use milne se KHud ko
roka ja sakta hai par roka nahin ja sakta
kisi ko chahat aur kisi ko nafrat marti hai
koi bhi ho use marte to dekha nahin ja sakta
ek taraf tere husn ki hairat ek taraf duniya
aur duniya mein der talak Thahra nahin ja sakta
- Book : duniya aarzoo se kam hai (Pg. 144)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.