Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu tishnagi ki aziyyat kabhi furaat se puchh

KHalid Malik Sahil

tu tishnagi ki aziyyat kabhi furaat se puchh

KHalid Malik Sahil

MORE BYKHalid Malik Sahil

    tishnagī aziyyat kabhī furāt se pūchh

    añdherī raat hasrat añdherī raat se pūchh

    guzar rahī hai jo dil par vahī haqīqat hai

    ġham-e-jahāñ fasāna ġham-e-hayāt se pūchh

    maiñ apne aap meñ baiThā huuñ be-ḳhabar to nahīñ

    nahīñ hai koī ta.alluq to apnī zaat se pūchh

    dukhī hai shahr ke logoñ se bad-mizāj bahut

    jo pūchhnā hai mohabbat se ehtiyāt se pūchh

    apnī zaat ke andar bhī jhāñk le 'sāhil'

    zamīñ bhed kisī roz kā.enāt se pūchh

    tu tishnagi ki aziyyat kabhi furaat se puchh

    andheri raat ki hasrat andheri raat se puchh

    guzar rahi hai jo dil par wahi haqiqat hai

    gham-e-jahan ka fasana gham-e-hayat se puchh

    main apne aap mein baiTha hun be-KHabar to nahin

    nahin hai koi talluq to apni zat se puchh

    dukhi hai shahr ke logon se bad-mizaj bahut

    jo puchhna hai mohabbat se ehtiyat se puchh

    tu apni zat ke andar bhi jhank le 'sahil'

    zamin ka bhed kisi roz kaenat se puchh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now