tu urus-e-sham-e-KHayal bhi tu jamal-e-ru-e-e-sahar bhi hai
tu urus-e-sham-e-KHayal bhi tu jamal-e-ru-e-e-sahar bhi hai
Suroor Barabankvi
MORE BYSuroor Barabankvi
tū urūs-e-shām-e-ḳhayāl bhī tū jamāl-e-rū-e-e-sahar bhī hai
ye zarūr hai ki ba-īñ-hama mirā ehtimām-e-nazar bhī hai
ye mirā nasīb hai ham-nashīñ sar-e-rāh bhī na mile kahīñ
vahī merā jāda-e-justujū vahī un kī rāhguzar bhī hai
hama kashmakash mirī zindagī kabhī aa ke dekh ye bebasī
tirī yaad vaj.h-e-sukūñ sahī vahī rāz-e-dīda-e-tar bhī hai
tire qurb ne jo baḌhā diye kabhī miT sake na vo fāsle
vahī paañv haiñ vahī aable vahī apnā zauq-e-safar bhī hai
ba-hazār dānish-o-āgahī mirī maslahat hai abhī yahī
maiñ asīr-e-zulmat-e-shab sahī mirī dastaras meñ sahar bhī hai
tu urus-e-sham-e-KHayal bhi tu jamal-e-ru-e-e-sahar bhi hai
ye zarur hai ki ba-in-hama mera ehtimam-e-nazar bhi hai
ye mera nasib hai ham-nashin sar-e-rah bhi na mile kahin
wahi mera jada-e-justuju wahi un ki rahguzar bhi hai
hama kashmakash meri zindagi kabhi aa ke dekh ye bebasi
teri yaad wajh-e-sukun sahi wahi raaz-e-dida-e-tar bhi hai
tere qurb ne jo baDha diye kabhi miT sake na wo fasle
wahi panw hain wahi aable wahi apna zauq-e-safar bhi hai
ba-hazar danish-o-agahi meri maslahat hai abhi yahi
main asir-e-zulmat-e-shab sahi meri dastaras mein sahar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.