tu wajh-e-zindagi hai jawaz-e-hayat hai
tū vaj.h-e-zindagī hai javāz-e-hayāt hai
vo mujh se kah rahī thī abhī kal kī baat hai
pahle pahal to ham tire dil meñ muqīm the
pahle kī baat aur thī ab aur baat hai
vo kā.enāt bhī hai tire husn kī asiir
is kā.enāt se jo pare kā.enāt hai
vo aa milā hai vaqt kī dīvār phāñd kar
ye ishq hai aur ishq dar-e-mumkināt hai
kahtā thā jis ko maiñ bhī kabhī husn-e-be-misāl
dar-asl be-misāl nahīñ be-sabāt hai
tum maut se Darāo yā bhuuk aur pyaas se
ḳheme yahīñ lageñge yahīñ pe furāt hai
bārish phuvār raat kī raanī havā kā shor
ye raat aaj kī baḌī pur-kaif raat hai
tu wajh-e-zindagi hai jawaz-e-hayat hai
wo mujh se kah rahi thi abhi kal ki baat hai
pahle pahal to hum tere dil mein muqim the
pahle ki baat aur thi ab aur baat hai
wo kaenat bhi hai tere husn ki asir
is kaenat se jo pare kaenat hai
wo aa mila hai waqt ki diwar phand kar
ye ishq hai aur ishq dar-e-mumkinat hai
kahta tha jis ko main bhi kabhi husn-e-be-misal
dar-asl be-misal nahin be-sabaat hai
tum maut se Darao ya bhuk aur pyas se
KHeme yahin lagenge yahin pe furaat hai
barish phuwar raat ki rani hawa ka shor
ye raat aaj ki baDi pur-kaif raat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.