tu zaban-e-dehli-o-lahaur ka parwardigar
tū zabān-e-dehlī-o-lahaur kā parvardigār
maiñ sukūt-e-gilgit-o-askar do-pāra-e-chanār
bakriyāñ roz-e-azal se koh kī rasta shanās
ai sunahrī ziin vaale nuqra.ī rath ke savār
gulshan-e-izhār ke do ḳhsrav-o-sarmast phuul
rañg se raushan zamīn-e-hind az-tā kohsār
yaar ham do muḳhtalif duniyāoñ ke tashrīh gar
tū kisī firqe kā shā.ir maiñ lisān-e-kirdgār
uñgliyoñ meñ raushnī dete zamurrad ke charāġh
marmarīñ baazū kā halqa surḳh yāqūtī hisār
raushnī tārīk raste se zamīñ tak aa ga.ī
biij ko shauq-e-numū ne kar diyā hai āshkār
tu zaban-e-dehli-o-lahaur ka parwardigar
main sukut-e-gilgit-o-askar do-para-e-chanar
bakriyan roz-e-azal se koh ki rasta shanas
ai sunahri zin wale nuqrai rath ke sawar
gulshan-e-izhaar ke do KHsraw-o-sarmast phul
rang se raushan zamin-e-hind az-ta kohsar
yar hum do muKHtalif duniyaon ke tashrih gar
tu kisi firqe ka shair main lisan-e-kirdgar
ungliyon mein raushni dete zamurrad ke charagh
marmarin bazu ka halqa surKH yaquti hisar
raushni tarik raste se zamin tak aa gai
bij ko shauq-e-numu ne kar diya hai aashkar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.