tufan se Takrana us ka to watira hai
tūfān se Takrānā us kā to vatīra hai
dil ashkoñ ke qulzum meñ chhoTā sā jazīra hai
ehsās nazākat kī kyoñ maut na vaaq.e ho
har phuul ke āñgan meñ kāñToñ kā zaḳhīra hai
darzoñ kī latāfat meñ ḳhushbū ne amaañ paa.ī
gul chīrne vaale ne kis shaan se chīra hai
muñh-zor ujāle se behtar thī shab-e-tīra
ab dil bhī pareshāñ hai aur aañkh bhī ḳhīra hai
har phuul kī sūrat meñ shāḳhoñ pe jamā ḳhuuñ hai
ye sahn-e-chaman kyā hai zaḳhmoñ kā zaḳhīra hai
mahtāb se chehroñ ke be-sūd nazāre haiñ
jab qalb kī duniyā meñ chhā.ī shab-e-tīra hai
alfāz ke teshe se ai 'jān' tarāsh us ko
patthar ke libāde meñ poshīda jo hiirā hai
tufan se Takrana us ka to watira hai
dil ashkon ke qulzum mein chhoTa sa jazira hai
ehsas nazakat ki kyon maut na waqe ho
har phul ke aangan mein kanTon ka zaKHira hai
darzon ki latafat mein KHushbu ne aman pai
gul chirne wale ne kis shan se chira hai
munh-zor ujale se behtar thi shab-e-tira
ab dil bhi pareshan hai aur aankh bhi KHira hai
har phul ki surat mein shaKHon pe jama KHun hai
ye sahn-e-chaman kya hai zaKHmon ka zaKHira hai
mahtab se chehron ke be-sud nazare hain
jab qalb ki duniya mein chhai shab-e-tira hai
alfaz ke teshe se ai 'jaan' tarash us ko
patthar ke libaade mein poshida jo hira hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.