TuT kar der talak pyar kiya hai mujhko
TuuT kar der talak pyaar kiyā hai mujh ko
aaj to is ne hī sarshār kiyā hai mujh ko
vo mahaktā huā jhoñkā thā ki neze kī anī
chhū ke guzrā hai to ḳhūñ-bār kiyā hai mujh ko
maiñ bhī tālāb kā Thahrā huā paanī thā kabhī
ek patthar ne ravāñ dhaar kiyā hai mujh ko
mujh se ab us kā taḌapnā nahīñ dekhā jaatā
jis ne chaltī huī talvār kiyā hai mujh ko
maiñ bulandī se use dekh rahā huuñ 'nashtar'
jis ne pastī kā gunahgār kiyā hai mujh ko
TuT kar der talak pyar kiya hai mujh ko
aaj to is ne hi sarshaar kiya hai mujh ko
wo mahakta hua jhonka tha ki neze ki ani
chhu ke guzra hai to KHun-bar kiya hai mujh ko
main bhi talab ka Thahra hua pani tha kabhi
ek patthar ne rawan dhaar kiya hai mujh ko
mujh se ab us ka taDapna nahin dekha jata
jis ne chalti hui talwar kiya hai mujh ko
main bulandi se use dekh raha hun 'nashtar'
jis ne pasti ka gunahgar kiya hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.