TuTa hai bas KHushi ka bharam aur kuchh nahin
TuTa hai bas KHushi ka bharam aur kuchh nahin
Haidar raza Koralvi
MORE BYHaidar raza Koralvi
TuuTā hai bas ḳhushī kā bharam aur kuchh nahīñ
paayā hai sirf dard-o-alam aur kuchh nahīñ
mujh par garāñ ye hijr kī ab kaalī raat hai
tanhā.iyoñ meñ ghuTtā hai dam aur kuchh nahīñ
bechainiyoñ ke saath Tahal kar tamām raat
paañv meñ rah ga.e haiñ varam aur kuchh nahīñ
muñh moḌnā vo dil kā jalānā mire habīb
Dhaa.e ga.e haiñ mujh pe sitam aur kuchh nahīñ
dhaḌkan udaas dil pe udāsī kī dhuup hai
lipTā hai mujh se terā ye ġham aur kuchh nahīñ
'haidar' kī dhaḌkanoñ kī sadā hai ye ham-nashīñ
dil pe hai terā naam raqam aur kuchh nahīñ
TuTa hai bas KHushi ka bharam aur kuchh nahin
paya hai sirf dard-o-alam aur kuchh nahin
mujh par garan ye hijr ki ab kali raat hai
tanhaiyon mein ghuTta hai dam aur kuchh nahin
bechainiyon ke sath Tahal kar tamam raat
panw mein rah gae hain waram aur kuchh nahin
munh moDna wo dil ka jalana mere habib
Dhae gae hain mujh pe sitam aur kuchh nahin
dhaDkan udas dil pe udasi ki dhup hai
lipTa hai mujh se tera ye gham aur kuchh nahin
'haidar' ki dhaDkanon ki sada hai ye ham-nashin
dil pe hai tera nam raqam aur kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.