TuTe hue KHwabon ki chubhan kam nahin hoti
TuuTe hue ḳhvāboñ kī chubhan kam nahīñ hotī
ab ro ke bhī āñkhoñ kī jalan kam nahīñ hotī
kitne bhī ghanere hoñ tirī zulf ke saa.e
ik raat meñ sadiyoñ kī thakan kam nahīñ hotī
hoñToñ se piyeñ chāhe nigāhoñ se churā.eñ
zālim tirī ḳhushbu-e-badan kam nahīñ hotī
milnā hai to mil jaao yahīñ hashr meñ kyā hai
ik umr mire va.ada-shikan kam nahīñ hotī
'qaisar' kī ġhazal se bhī na TuuTī ye rivāyat
is shahr meñ nā-qadri-e-fan kam nahīñ hotī
TuTe hue KHwabon ki chubhan kam nahin hoti
ab ro ke bhi aankhon ki jalan kam nahin hoti
kitne bhi ghanere hon teri zulf ke sae
ek raat mein sadiyon ki thakan kam nahin hoti
honTon se piyen chahe nigahon se churaen
zalim teri KHushbu-e-badan kam nahin hoti
milna hai to mil jao yahin hashr mein kya hai
ek umr mere wada-shikan kam nahin hoti
'qaisar' ki ghazal se bhi na TuTi ye riwayat
is shahr mein na-qadri-e-fan kam nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.