TuTe hue peD gin raha hun
TuuTe hue peḌ gin rahā huuñ
maiñ apne paroñ ko dekhtā huuñ
lab-basta huuñ phir bhī boltā huuñ
yaar ḳhud se nabard-āzmā huuñ
bastī koī rah na jaa.e baaqī
dar dar pe sadā lagā chukā huuñ
hoñToñ pe sukūt ḳhāmushī hai
lamhoñ ke hisār meñ ghirā huuñ
raste haiñ tamām aTe aTe se
maiñ kaise kahūñ gurez-pā huuñ
ai nahr-e-furāt de gavāhī
pyāsoñ kā ḳhirāj māñgtā huuñ
shāyad koī shahsavār nikle
sahrā pe kamand Dāltā huuñ
ḳhud par yaqīn uTh chalā hai
ab raat Dhalī to so gayā huuñ
TuTe hue peD gin raha hun
main apne paron ko dekhta hun
lab-basta hun phir bhi bolta hun
yar KHud se nabard-azma hun
basti koi rah na jae baqi
dar dar pe sada laga chuka hun
honTon pe sukut KHamushi hai
lamhon ke hisar mein ghira hun
raste hain tamam aTe aTe se
main kaise kahun gurez-pa hun
ai nahr-e-furaat de gawahi
pyason ka KHiraj mangta hun
shayad koi shahsawar nikle
sahra pe kamand Dalta hun
KHud par yaqin uTh chala hai
ab raat Dhali to so gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.