Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuTe jo dant munh ki shabahat bigaD gai

Shad Lakhnavi

TuTe jo dant munh ki shabahat bigaD gai

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    TuuTe jo daañt muñh shabāhat bigaḌ ga.ī

    vo ghar huā ḳharāb jahāñ phuuT paḌ ga.ī

    vo zaar huuñ jo saañs dam-e-marg ukhaḌ ga.ī

    mayyat kanār-e-gor meñ kāñTe gaḌ ga.ī

    DhūñDho charāġh le ke za.īfoñ galī galī

    ġham ho gayā shabāb javānī bichhaḌ ga.ī

    phūlūñ phalūñ maiñ kyā chaman-e-rozgār meñ

    maiñ vo nihāl-e-sabz huuñ ghun jis jaḌ ga.ī

    chāhā jo mālish-e-kaf-e-afsos kījiye

    hāthoñ ko ye milā ki hathelī ragaḌ ga.ī

    gul aa ke zer-e-kafsh-e-sabā saaf ho gayā

    juutī jo be-hayā ke paḌī ḳhaak jhaḌ ga.ī

    uqda khulā ye dast-e-hinā band-e-yār se

    meñhdī hai apne chor mushkeñ jakaḌ ga.ī

    vo gul araq-fashāñ nazar aayā jo baaġh meñ

    shabnam pe os āb-e-ḳhajālat se paḌ ga.ī

    Dhāñpā kafan meñ muñh ko jo sharm-e-gunāh se

    mayyat mirī zamīñ meñ ḳhajālat se gaḌ ga.ī

    ai 'shād' lucknow ḳharābī na pūchhiye

    bastī basī-basā.ī guloñ ujaḌ ga.ī

    TuTe jo dant munh ki shabahat bigaD gai

    wo ghar hua KHarab jahan phuT paD gai

    wo zar hun jo sans dam-e-marg ukhaD gai

    mayyat kanar-e-gor mein kanTe si gaD gai

    DhunDho charagh le ke zaifon gali gali

    gham ho gaya shabab jawani bichhaD gai

    phulun phalun main kya chaman-e-rozgar mein

    main wo nihaal-e-sabz hun ghun jis ki jaD gai

    chaha jo malish-e-kaf-e-afsos kijiye

    hathon ko ye mila ki hatheli ragaD gai

    gul aa ke zer-e-kafsh-e-saba saf ho gaya

    juti jo be-haya ke paDi KHak jhaD gai

    uqda khula ye dast-e-hina band-e-yar se

    meinhdi hai apne chor ki mushken jakaD gai

    wo gul araq-fashan nazar aaya jo bagh mein

    shabnam pe os aab-e-KHajalat se paD gai

    Dhanpa kafan mein munh ko jo sharm-e-gunah se

    mayyat meri zamin mein KHajalat se gaD gai

    ai 'shad' lucknow ki KHarabi na puchhiye

    basti basi-basai gulon ki ujaD gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now