TuTi hai meri nind magar tumko is se kya
TuuTī hai merī niiñd magar tum ko is se kyā
bajte raheñ havāoñ se dar tum ko is se kyā
tum mauj mauj misl-e-sabā ghūmte raho
kaT jaa.eñ merī soch ke par tum ko is se kyā
auroñ kā haath thāmo unheñ rāsta dikhāo
maiñ bhuul jā.ūñ apnā hī ghar tum ko is se kyā
abr-e-gurez-pā ko barasne se kyā ġharaz
siipī meñ ban na paa.e guhar tum ko is se kyā
le jaa.eñ mujh ko māl-e-ġhanīmat ke saath adū
tum ne to Daal dī hai sipar tum ko is se kyā
tum ne to thak ke dasht meñ ḳheme lagā liye
tanhā kaTe kisī kā safar tum ko is se kyā
TuTi hai meri nind magar tum ko is se kya
bajte rahen hawaon se dar tum ko is se kya
tum mauj mauj misl-e-saba ghumte raho
kaT jaen meri soch ke par tum ko is se kya
auron ka hath thamo unhen rasta dikhao
main bhul jaun apna hi ghar tum ko is se kya
abr-e-gurez-pa ko barasne se kya gharaz
sipi mein ban na pae guhar tum ko is se kya
le jaen mujh ko mal-e-ghanimat ke sath adu
tum ne to Dal di hai sipar tum ko is se kya
tum ne to thak ke dasht mein KHeme laga liye
tanha kaTe kisi ka safar tum ko is se kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.