ubhar rahi hai kiran subh-e-zu-fishan ke liye
ubhar rahī hai kiran sub.h-e-zū-fishāñ ke liye
sañvar rahī hai fazā husn-e-gulsitāñ ke liye
mirī fasurda ummīdoñ ko kar diyā ḳhandāñ
ye iltifāt-e-nazar ik shikasta jaañ ke liye
ḳhudā ke dar pe to sajda-kunāñ hai ik duniyā
mirī jabīñ hai faqat tere āstāñ ke liye
tire huzūr meñ aayā to kho gayā aisā
zabān khul na sakī arz-e-dāstāñ ke liye
unheñ shikast-e-mohabbat kā ḳhauf kyā 'aḳhgar'
kafan-badosh jo nikle haiñ imtihāñ ke liye
ubhar rahi hai kiran subh-e-zu-fishan ke liye
sanwar rahi hai faza husn-e-gulsitan ke liye
meri fasurda ummidon ko kar diya KHandan
ye iltifat-e-nazar ek shikasta jaan ke liye
KHuda ke dar pe to sajda-kunan hai ek duniya
meri jabin hai faqat tere aastan ke liye
tere huzur mein aaya to kho gaya aisa
zaban khul na saki arz-e-dastan ke liye
unhen shikast-e-mohabbat ka KHauf kya 'aKHgar'
kafan-badosh jo nikle hain imtihan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.