ubharta chand siyah raat ke paron mein tha
ubhartā chāñd siyah raat ke paroñ meñ thā
koī to chehra mire dard ke gharoñ meñ thā
vo aks-e-jism jo ḳhvāboñ meñ ho gayā tahlīl
kabhī in ā.ankhoñ ke simTe hue daroñ meñ thā
ḳhunuk havāoñ ke zānūñ pe soche haiñ vo
tirī vafāoñ kā kuchh dard jin suroñ meñ thā
guzishta raat kī āñdhī bhī aa ke dekh ga.ī
aTal sukūt ġhamoñ ke samundaroñ meñ thā
ye din kā daaġh jo rātoñ ko muñh chhupātā hai
kabhī yahī to sahar ke payambaroñ meñ thā
ubharta chand siyah raat ke paron mein tha
koi to chehra mere dard ke gharon mein tha
wo aks-e-jism jo KHwabon mein ho gaya tahlil
kabhi in aaankhon ke simTe hue daron mein tha
KHunuk hawaon ke zanun pe soche hain wo
teri wafaon ka kuchh dard jin suron mein tha
guzishta raat ki aandhi bhi aa ke dekh gai
aTal sukut ghamon ke samundaron mein tha
ye din ka dagh jo raaton ko munh chhupata hai
kabhi yahi to sahar ke payambaron mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.