ubur kar na sake hum haden hi aisi thin
ubuur kar na sake ham hadeñ hī aisī thiiñ
qadam qadam pe yahāñ mushkileñ hī aisī thiiñ
vo mujh se ruuTh na jaatī to aur kyā kartī
mirī ḳhatā.eñ mirī laġhzisheñ hī aisī thiiñ
kahīñ dikhā.ī diye ek dūsre ko ham
to muñh bigāḌ liye ranjisheñ hī aisī thiiñ
bahut irāda kyā koī kaam karne kā
magar 'amal na huā uljhaneñ hī aisī thiiñ
butoñ ke sāmne apnī zabān kyā khultī
ḳhudā mu'āf kare ḳhvāhisheñ hī aisī thiiñ
ubur kar na sake hum haden hi aisi thin
qadam qadam pe yahan mushkilen hi aisi thin
wo mujh se ruTh na jati to aur kya karti
meri KHataen meri laghzishen hi aisi thin
kahin dikhai diye ek dusre ko hum
to munh bigaD liye ranjishen hi aisi thin
bahut irada kya koi kaam karne ka
magar 'amal na hua uljhanen hi aisi thin
buton ke samne apni zaban kya khulti
KHuda mu'af kare KHwahishen hi aisi thin
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 65)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.