udas aankhon mein ratjagon ka jamawDa hai
udaas āñkhoñ meñ ratjagoñ kā jamāvḌā hai
hamārī palkoñ pe āñsuoñ kā jamāvḌā hai
maiñ kis tarah se pahuñch sakūñgā tirī galī tak
tamām rāhoñ meñ rahzanoñ kā jamāvḌā hai
ye shahr jis meñ mohabbatoñ kā rivāj paayā
yahāñ to har samt nafratoñ kā jamāvḌā hai
kabhī darīche se jhāñk kar dekh lo galī meñ
tumhāre dar par to 'āshiqoñ kā jamāvḌā hai
kisī murabbe meñ ik musallas phañsā huā hai
kisī musallas meñ dā.eroñ kā jamāvḌā hai
ġhamoñ ke Dar se maiñ bhāgtā phir rahā huuñ 'sāgar'
mire ta'āqub meñ dushmanoñ kā jamāvḌā hai
udas aankhon mein ratjagon ka jamawDa hai
hamari palkon pe aansuon ka jamawDa hai
main kis tarah se pahunch sakunga teri gali tak
tamam rahon mein rahzanon ka jamawDa hai
ye shahr jis mein mohabbaton ka riwaj paya
yahan to har samt nafraton ka jamawDa hai
kabhi dariche se jhank kar dekh lo gali mein
tumhaare dar par to 'ashiqon ka jamawDa hai
kisi murabbe mein ek musallas phansa hua hai
kisi musallas mein daeron ka jamawDa hai
ghamon ke Dar se main bhagta phir raha hun 'sagar'
mere ta'aqub mein dushmanon ka jamawDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.