Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udas dekh ke wajh-e-malal puchhega

Faza Ibn e Faizi

udas dekh ke wajh-e-malal puchhega

Faza Ibn e Faizi

MORE BYFaza Ibn e Faizi

    udaas dekh ke vaj.h-e-malāl pūchhegā

    vo mehrbāñ nahīñ aisā ki haal pūchhegā

    javāb de na sakoge palaT ke maazī ko

    ik ek lamha vo chubhte savāl pūchhegā

    diloñ ke zaḳhm dahan meñ zabāñ nahīñ rakhte

    to kis se zā.iqa-e-indimāl pūchhegā

    kabhī to ke milā mujh se mere qātil ko

    jo sar hai dosh pe tere vabāl pūchhegā

    ye kyā ḳhabar thī ki siine ke daaġh lau deñge

    koī jo mehnat-e-fan ma.aal pūchhegā

    harf-e-ishq-o-basīrat hai lab na apne

    zamāna tujh se bhī terā ḳhayāl pūchhegā

    mujhe tarāsh ke rakh lo ki aane vaalā vaqt

    ḳhazaf dikhā ke guhar misāl pūchhegā

    banā ke phuul ḳhushbū phirā.egī sadiyoñ

    havā se kaun rah-e-e'tidāl pūchhegā

    ye ek pal jo hai maj.hūl shaḳhs sūrat

    mizāj-e-āgahi-e-māh-o-sāl pūchhegā

    yahāñ ta.ayyun-e-aqdār bhī zarūrī hai

    ḳhud apne mushk qīmat ġhazāl pūchhegā

    mirā qalam abdiyat raushnī hai 'fazā'

    is āftāb ko ab kyā zavāl pūchhegā

    udas dekh ke wajh-e-malal puchhega

    wo mehrban nahin aisa ki haal puchhega

    jawab de na sakoge palaT ke mazi ko

    ek ek lamha wo chubhte sawal puchhega

    dilon ke zaKHm dahan mein zaban nahin rakhte

    to kis se zaiqa-e-indimal puchhega

    kabhi to la ke mila mujh se mere qatil ko

    jo sar hai dosh pe tere wabaal puchhega

    ye kya KHabar thi ki sine ke dagh lau denge

    koi jo mehnat-e-fan ka maal puchhega

    tu harf-e-ishq-o-basirat hai lab na si apne

    zamana tujh se bhi tera KHayal puchhega

    mujhe tarash ke rakh lo ki aane wala waqt

    KHazaf dikha ke guhar ki misal puchhega

    bana ke phul ki KHushbu phiraegi sadiyon

    hawa se kaun rah-e-e'tidal puchhega

    ye ek pal jo hai majhul shaKHs ki surat

    mizaj-e-agahi-e-mah-o-sal puchhega

    yahan tayyun-e-aqdar bhi zaruri hai

    KHud apne mushk ki qimat ghazal puchhega

    mera qalam abdiyat ki raushni hai 'faza'

    is aaftab ko ab kya zawal puchhega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now