Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udas hain sab pata nahin ghar mein kya hua hai

Shariq Kaifi

udas hain sab pata nahin ghar mein kya hua hai

Shariq Kaifi

udaas haiñ sab patā nahīñ ghar meñ kyā huā hai

hamārā itnā ḳhayāl kyuuñ rakkhā rahā hai

kuchh itnā ḳhush-fahm ho gayā huuñ ki apnā chehra

parā.ī āñkhoñ se jab bhī dekhā burā lagā hai

abhī to achchhī lagegī kuchh din judā.ī rut

abhī hamāre liye ye sab kuchh nayā nayā hai

ḳhushī huī thī ki ab maiñ tanhā nahīñ huuñ lekin

ye shaḳhs to mere saath chaltā rahā hai

mujhe to is baat ḳhushī hai ki ab bhī mujh meñ

kisī pe bhī e'tibār karne hausla hai

udas hain sab pata nahin ghar mein kya hua hai

hamara itna KHayal kyun rakkha ja raha hai

kuchh itna KHush-fahm ho gaya hun ki apna chehra

parai aankhon se jab bhi dekha bura laga hai

abhi to achchhi lagegi kuchh din judai ki rut

abhi hamare liye ye sab kuchh naya naya hai

KHushi hui thi ki ab main tanha nahin hun lekin

ye shaKHs to mere sath chalta hi ja raha hai

mujhe to is baat ki KHushi hai ki ab bhi mujh mein

kisi pe bhi e'tibar karne ka hausla hai

Source :
  • Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 58)
  • Author :Shariq Kaifi
  • Publication : Rekhta Publications (2022)
  • Edition : 3rd
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now