Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udas logon se pyar karna koi to sikhe

Neelma Naheed Durrani

udas logon se pyar karna koi to sikhe

Neelma Naheed Durrani

MORE BYNeelma Naheed Durrani

    udaas logoñ se pyaar karnā koī to sīkhe

    safed lamhoñ meñ rañg bharnā koī to sīkhe

    koī to aa.e ḳhizāñ meñ patte ugāne vaalā

    guloñ ḳhushbū ko qaid karnā koī to sīkhe

    koī dikhā.e mohabbatoñ ke sarāb mujh ko

    mirī nigāhoñ se baat karnā koī to sīkhe

    koī to aa.e na.ī rutoñ payām le kar

    añdherī rātoñ meñ chāñd banñā koī to sīkhe

    koī payāmbar koī imām-e-zamāñ aa.e

    asiir zehnoñ meñ soch bharnā koī to sīkhe

    udas logon se pyar karna koi to sikhe

    safed lamhon mein rang bharna koi to sikhe

    koi to aae KHizan mein patte ugane wala

    gulon ki KHushbu ko qaid karna koi to sikhe

    koi dikhae mohabbaton ke sarab mujh ko

    meri nigahon se baat karna koi to sikhe

    koi to aae nai ruton ka payam le kar

    andheri raaton mein chand banna koi to sikhe

    koi payambar koi imam-e-zaman hi aae

    asir zehnon mein soch bharna koi to sikhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now