udas naina jo baraste hain sahab ki tarah
udas naina jo baraste hain sahab ki tarah
Vandana Bhardwaj Tiwary Vani
MORE BYVandana Bhardwaj Tiwary Vani
udaas nainā jo baraste haiñ sahāb kī tarah
to ġham ke phuul bhī mahakte haiñ gulāb kī tarah
laraz laraz ke aise yaad aate haiñ vo guzre din
ki nafs nafs jhanjhanātā hai rabāb kī tarah
ye duniyā ke nazāre yādeñ ḳhvāb ishq zindagī
lubhāte haiñ yahāñ pe sab ke sab sarāb kī tarah
jahāñ ke zulm sahte sahte fāḳhta bhī bārhā
aqab se panje mārtī hai phir uqaab kī tarah
jahān-e-husn kā yahī huā hai hashr har dafa
ki chaar din meñ ye ghaTā hai māhtāb kī tarah
zabāñ pe jab bhī aah ban ke aarzū machaltī hai
to dard siina meñ ubhartā hai habāb kī tarah
pilā de jaam sāqiyā ki raat aane vaalī hai
hameñ fulāñ kī yaad aa.ī phir azaab kī tarah
udas naina jo baraste hain sahab ki tarah
to gham ke phul bhi mahakte hain gulab ki tarah
laraz laraz ke aise yaad aate hain wo guzre din
ki nafs nafs jhanjhanata hai rabab ki tarah
ye duniya ke nazare yaaden KHwab ishq zindagi
lubhate hain yahan pe sab ke sab sarab ki tarah
jahan ke zulm sahte sahte faKHta bhi barha
aqab se panje marti hai phir uqab ki tarah
jahan-e-husn ka yahi hua hai hashr har dafa
ki chaar din mein ye ghaTa hai mahtab ki tarah
zaban pe jab bhi aah ban ke aarzu machalti hai
to dard sina mein ubharta hai habab ki tarah
pila de jam saqiya ki raat aane wali hai
hamein fulan ki yaad aai phir azab ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.