udas raat hai koi to KHwab de jao
udaas raat hai koī to ḳhvāb de jaao
mire gilās meñ thoḌī sharāb de jaao
bahut se aur bhī ghar haiñ ḳhudā kī bastī meñ
faqīr kab se khaḌā hai javāb de jaao
maiñ zard pattoñ pe shabnam sajā ke laayā huuñ
kisī ne mujh se kahā thā hisāb de jaao
adab nahīñ hai ye aḳhbār ke tarāshe haiñ
ga.e zamānoñ kī koī kitāb de jaao
phir us ke baa'd nazāre nazar ko tarseñge
vo jā rahā hai ḳhizāñ ke gulāb de jaao
mirī nazar meñ rahe Dūbne kā manzar bhī
ġhurūb hotā huā āftāb de jaao
hazār safhoñ kā dīvān kaun paḌhtā hai
'bashīr-badr' kā koī intiḳhāb de jaao
udas raat hai koi to KHwab de jao
mere gilas mein thoDi sharab de jao
bahut se aur bhi ghar hain KHuda ki basti mein
faqir kab se khaDa hai jawab de jao
main zard patton pe shabnam saja ke laya hun
kisi ne mujh se kaha tha hisab de jao
adab nahin hai ye aKHbar ke tarashe hain
gae zamanon ki koi kitab de jao
phir us ke ba'd nazare nazar ko tarsenge
wo ja raha hai KHizan ke gulab de jao
meri nazar mein rahe Dubne ka manzar bhi
ghurub hota hua aaftab de jao
hazar safhon ka diwan kaun paDhta hai
'bashir-badr' ka koi intiKHab de jao
- Book : Aamad (Pg. 101)
- Author : Bashir Badar
- Publication : M.R. Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.