udas rut mein tere baad ki kahani hai
udaas rut meñ tire baad kī kahānī hai
sukūt-e-dil hai tire ġham kī jāñ-fishānī hai
na tere saath guzarte to ham guzar jaate
yahī hai baat agarche zarā purānī hai
mohabbatoñ ke Dase haiñ to nafrateñ lā do
ki ye bhī apne buzurgoñ kī ik nishānī hai
vafā kī baat na kar ḳhvāhisheñ bachā apnī
mujhe aziiz ta.alluq tujhe javānī hai
ga.e dinoñ ke marāsim kī baat hai 'shākir'
vagarna us se mohabbat kise nibhānī hai
udas rut mein tere baad ki kahani hai
sukut-e-dil hai tere gham ki jaan-fishani hai
na tere sath guzarte to hum guzar jate
yahi hai baat agarche zara purani hai
mohabbaton ke Dase hain to nafraten la do
ki ye bhi apne buzurgon ki ek nishani hai
wafa ki baat na kar KHwahishen bacha apni
mujhe aziz talluq tujhe jawani hai
gae dinon ke marasim ki baat hai 'shakir'
wagarna us se mohabbat kise nibhani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.