udas shamon bujhe darichon mein lauT aaya
udaas shāmoñ bujhe darīchoñ meñ lauT aayā
bichhaḌ ke us se maiñ apnī galiyoñ meñ lauT aayā
chamaktī saḌkoñ pe koī merā nahīñ thā so maiñ
malūl peḌoñ ujaaḌ rastoñ meñ lauT aayā
ḳhizāñ ke āġhāz meñ ye achchhā huā ki maiñ bhī
ḳhud apne jaise fasurda logoñ meñ lauT aayā
hasīn yādoñ ke chāñd ko alvidā.a kah kar
maiñ apne ghar ke añdhere kamroñ meñ lauT aayā
maiñ khul ke royā nahīñ thā pichhle ka.ī baras se
'hasan' vo sailāb phir se āñkhoñ meñ lauT aayā
udas shamon bujhe darichon mein lauT aaya
bichhaD ke us se main apni galiyon mein lauT aaya
chamakti saDkon pe koi mera nahin tha so main
malul peDon ujaD raston mein lauT aaya
KHizan ke aaghaz mein ye achchha hua ki main bhi
KHud apne jaise fasurda logon mein lauT aaya
hasin yaadon ke chand ko alwidaa kah kar
main apne ghar ke andhere kamron mein lauT aaya
main khul ke roya nahin tha pichhle kai baras se
'hasan' wo sailab phir se aankhon mein lauT aaya
- Book : Ham Ne Bhi Mohabbat Ki Hai (Pg. 147)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.