udasi ke daldal mein girta hua dil
udāsī ke daldal meñ girtā huā dil
bachā.ūñ maiñ kaise ye martā huā dil
maiñ us kī mohabbat meñ labrez dariyā
vo mujh meñ utar ke ubhartā huā dil
sitāre ḳhalā se abhī toḌ lā.ūñ
magar āsmāñ se ye Dartā huā dil
kabhī tum ne dekhā hai bolo batāo
kisī aa.ine meñ sañvartā huā dil
ayaañ us kī āñkhoñ kī shaffāfiyat meñ
dhule pāniyoñ sā nikhartā huā dil
aTaktā sañbhaltā sañbhal ke Thahartā
kaThin rāstoñ se guzartā huā dil
jatan laakh kar lo na aa.egā qaabū
hai ik mauj-e-sarkash biphartā huā dil
udasi ke daldal mein girta hua dil
bachaun main kaise ye marta hua dil
main us ki mohabbat mein labrez dariya
wo mujh mein utar ke ubharta hua dil
sitare KHala se abhi toD laun
magar aasman se ye Darta hua dil
kabhi tum ne dekha hai bolo batao
kisi aaine mein sanwarta hua dil
ayan us ki aankhon ki shaffafiyat mein
dhule paniyon sa nikharta hua dil
aTakta sanbhalta sanbhal ke Thaharta
kaThin raston se guzarta hua dil
jatan lakh kar lo na aaega qabu
hai ek mauj-e-sarkash bipharta hua dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.