udasi ye sab hasraten mar degi
udāsī ye sab hasrateñ maar degī
ummīdoñ bharī sā.ateñ maar degī
tumhārī tavajjoh ke ham muntazir hai
tumhārī tavajjoh hameñ maar degī
hamārī ye qismat hai bad-zāt kitnī
ye nāzil huī rahmateñ maar degī
hamārā hī kāġhaz hamārī adālat
hamārī hī sohbat hameñ maar degī
hamārī hayā ek sayyād jānāñ
hamārī hayā hī tumheñ maar degī
añdherā ghanā aur dil un kā nāzuk
ghaTā-e-amāvas unheñ maar degī
udasi ye sab hasraten mar degi
ummidon bhari saaten mar degi
tumhaari tawajjoh ke hum muntazir hai
tumhaari tawajjoh hamein mar degi
hamari ye qismat hai bad-zat kitni
ye nazil hui rahmaten mar degi
hamara hi kaghaz hamari adalat
hamari hi sohbat hamein mar degi
hamari haya ek sayyaad jaanan
hamari haya hi tumhein mar degi
andhera ghana aur dil un ka nazuk
ghaTa-e-amawas unhen mar degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.