uDe nahin hain uDae hue parinde hain
uḌe nahīñ haiñ uḌaa.e hue parinde haiñ
hameñ na chheḌ satā.e hue parinde haiñ
qafas meñ qaid karo yā hamāre par kaaTo
tumhāre jaal meñ aa.e hue parinde haiñ
havā chalegī to bachche uḌā.eñge un ko
ye kāġhazoñ se banā.e hue parinde haiñ
jame hue haiñ ye shāḳhoñ pe is tarah jaise
shajar ke saath ugaa.e hue parinde haiñ
falak pe jin ko sitāre samajh rahe haiñ log
vo chāñdnī meñ nahā.e hue parinde haiñ
bulandiyāñ haiñ hamāre mizāj meñ shāmil
bulandiyoñ se girā.e hue parinde haiñ
hamāre paas hī ā.eñge lauT kar 'bāqī'
hamāre jitne sadhā.e hue parinde haiñ
uDe nahin hain uDae hue parinde hain
hamein na chheD satae hue parinde hain
qafas mein qaid karo ya hamare par kaTo
tumhaare jal mein aae hue parinde hain
hawa chalegi to bachche uDaenge un ko
ye kaghazon se banae hue parinde hain
jame hue hain ye shaKHon pe is tarah jaise
shajar ke sath ugae hue parinde hain
falak pe jin ko sitare samajh rahe hain log
wo chandni mein nahae hue parinde hain
bulandiyan hain hamare mizaj mein shamil
bulandiyon se girae hue parinde hain
hamare pas hi aaenge lauT kar 'baqi'
hamare jitne sadhae hue parinde hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.