Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udhar uski nigah ka naz se aa kar palaT jaana

Nazeer Akbarabadi

udhar uski nigah ka naz se aa kar palaT jaana

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    udhar us nigah naaz se aa kar palaT jaanā

    idhar marnā taḌapnā ġhash meñ aanā dam ulaT jaanā

    kahūñ kyā kyā maiñ naqshe us nāgin zulf ke yaaro

    lipaTnā uḌ ke aanā kaaT khānā phir palaT jaanā

    agar milne dhun rakhnā to is tarkīb se milnā

    saraknā duur haTnā bhāgnā aur phir lipaT jaanā

    na milne irāda ho to ye ayyāriyāñ dekho

    humaknā aage baḌhnā paas aanā aur haT jaanā

    ye kuchh bahrūp-pan dekho ki ban kar shakl daane

    bikharnā sabz honā lahlahānā phir simaT jaanā

    ye yaktā.ī ye yak-rañgī tis uupar ye qayāmat hai

    na kam honā na baḌhnā aur hazāroñ ghaT meñ baT jaanā

    'nazīr' aisā jo chanchal dilrubā bahrūpiyā hove

    tamāshā hai phir aise shoḳh se saude paT jaanā

    udhar us ki nigah ka naz se aa kar palaT jaana

    idhar marna taDapna ghash mein aana dam ulaT jaana

    kahun kya kya main naqshe us ki nagin zulf ke yaro

    lipaTna uD ke aana kaT khana phir palaT jaana

    agar milne ki dhun rakhna to is tarkib se milna

    sarakna dur haTna bhagna aur phir lipaT jaana

    na milne ka irada ho to ye ayyariyan dekho

    humakna aage baDhna pas aana aur haT jaana

    ye kuchh bahrup-pan dekho ki ban kar shakl dane ki

    bikharna sabz hona lahlahana phir simaT jaana

    ye yaktai ye yak-rangi tis upar ye qayamat hai

    na kam hona na baDhna aur hazaron ghaT mein baT jaana

    'nazir' aisa jo chanchal dilruba bahrupiya howe

    tamasha hai phir aise shoKH se saude ka paT jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now