udhar wo dasht-e-musalsal idhar musalsal main
udhar vo dasht-e-musalsal idhar musalsal maiñ
vahī azal kā vo saaya vahī ye pāgal maiñ
har ek ghar meñ kisī ajnabī sā rahtā huuñ
kisī kī aql meñ aatā nahīñ ye mohmal maiñ
tamām shahr kī āñkhoñ meñ reza reza huuñ
kisī bhī aañkh se uThtā nahīñ mukammal maiñ
rikāb-e-ḳhāk meñ uljhe haiñ āsmāñ ke paañv
mirā ḳhayāl havā par hai aur paidal maiñ
kuchh is qadar hai pas-e-ḳhāk āñsuoñ kā hujūm
bas ek buuñd ubhar aa.ī aur jal-thal maiñ
udhar wo dasht-e-musalsal idhar musalsal main
wahi azal ka wo saya wahi ye pagal main
har ek ghar mein kisi ajnabi sa rahta hun
kisi ki aql mein aata nahin ye mohmal main
tamam shahr ki aankhon mein reza reza hun
kisi bhi aankh se uThta nahin mukammal main
rikab-e-KHak mein uljhe hain aasman ke panw
mera KHayal hawa par hai aur paidal main
kuchh is qadar hai pas-e-KHak aansuon ka hujum
bas ek bund ubhar aai aur jal-thal main
- Book : mai.n ronaa chaahtaa huu.n (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.