uDte hain girte hain phir se uDte hain
uḌte haiñ girte haiñ phir se uḌte haiñ
uḌne vaale uḌte uḌte uḌte haiñ
koī us būḌhe pīpal se kah aao
pinjre meñ ham ḳhuub maze se uḌte haiñ
haa.e vo chiḌiyā uḌ mainā uḌ ke jhagḌe
aur phir sābit karnā bakre uḌte haiñ
pinjre meñ daanā paanī sab rakkhā hai
aur parinde bhūke pyāse uḌte haiñ
dekh rahe haiñ ham bhī javānī ke mausam
band havā meñ kaise dupaTTe uḌte haiñ
is tote kā piñjrā kholo phir dekho
kaise is tote ke tote uḌte haiñ
uDte hain girte hain phir se uDte hain
uDne wale uDte uDte uDte hain
koi us buDhe pipal se kah aao
pinjre mein hum KHub maze se uDte hain
hae wo chiDiya uD maina uD ke jhagDe
aur phir sabit karna bakre uDte hain
pinjre mein dana pani sab rakkha hai
aur parinde bhuke pyase uDte hain
dekh rahe hain hum bhi jawani ke mausam
band hawa mein kaise dupaTTe uDte hain
is tote ka pinjra kholo phir dekho
kaise is tote ke tote uDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.