uf intiha-e-shauq mein ab kya kare koi
uf intihā-e-shauq meñ ab kyā kare koī
kahte haiñ pahle apnī tamanna kare koī
bedād-e-husn ye hai to phir kyā kare koī
rusvā.iyoñ ke baad bhī parda kare koī
tum bhī kaho to dil ko batā deñ ab us kā haal
ab vaqt vo nahīñ hai ki parda kare koī
khul jaa.eñ husn-o-ishq kī nairañgiyoñ ke raaz
dekhūñ jo phir kisī kī tamanna kare koī
bad-nāmiyāñ nasīb meñ haiñ sab ke varna yaañ
koī na kuchh miTā.e na paidā kare koī
kuchh aisā haal hai kisī bīmār-e-ishq kā
vo ḳhud bhī kah rahe haiñ ki ab kyā kare koī
jhalkegā iḳhtiyār meñ mahbūbiyoñ kā rang
merī nazar se gul kā tamāshā kare koī
zarroñ meñ gūñjtī hai sadā-e-shikast-e-dil
hai shart gosh-e-dil ko magar vā kare koī
jab kuchh samajhne deñ na kisī kī tajalliyāñ
phir kyoñ mire ḳhayāl ko rusvā kare koī
hai zarra zarra mahshar-e-āshob-e-shauq-e-der
ab vaqt aagyā hai ki pardā kare koī
gum ho chukī hai qudrat-e-abdā-e-ārzū
'beḳhud' harīm-e-nāz to hai kyā kare koī
uf intiha-e-shauq mein ab kya kare koi
kahte hain pahle apni tamanna kare koi
bedad-e-husn ye hai to phir kya kare koi
ruswaiyon ke baad bhi parda kare koi
tum bhi kaho to dil ko bata den ab us ka haal
ab waqt wo nahin hai ki parda kare koi
khul jaen husn-o-ishq ki nairangiyon ke raaz
dekhun jo phir kisi ki tamanna kare koi
bad-namiyan nasib mein hain sab ke warna yan
koi na kuchh miTae na paida kare koi
kuchh aisa haal hai kisi bimar-e-ishq ka
wo KHud bhi kah rahe hain ki ab kya kare koi
jhalkega iKHtiyar mein mahbubiyon ka rang
meri nazar se gul ka tamasha kare koi
zarron mein gunjti hai sada-e-shikast-e-dil
hai shart gosh-e-dil ko magar wa kare koi
jab kuchh samajhne den na kisi ki tajalliyan
phir kyon mere KHayal ko ruswa kare koi
hai zarra zarra mahshar-e-ashob-e-shauq-e-der
ab waqt aagya hai ki parda kare koi
gum ho chuki hai qudrat-e-abda-e-arzu
'beKHud' harim-e-naz to hai kya kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.