Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uf kya maza mila sitam-e-rozgar mein

Iqbal Sohail

uf kya maza mila sitam-e-rozgar mein

Iqbal Sohail

uf kyā mazā milā sitam-e-rozgār meñ

kyā tum chhupe the parda-e-lail-o-nahār meñ

sau sajde ek laġhzish-e-mastāna-vār meñ

allāh kyā adā hai tire bāda-ḳhvār meñ

rokūñ to mauj-e-ġham ko dil-e-be-qarār meñ

sāġhar chhalak na jaa.e kaf-e-rāsha-dār meñ

kis se ho phir umiid ki tār-e-nazar mirā

ḳhud ke mil gayā saf-e-mizhgān-e-yār meñ

ḳhud husn be-niyāz nahīñ faiz-e-ishq se

ḳhū mere dil hai nigah-e-be-qarār meñ

vo mast-e-nāz husn maiñ sarshār-e-ārzū

vo iḳhtiyār meñ haiñ na maiñ iḳhtiyār meñ

āshob-e-iztirāb meñ khaTkā jo hai to ye

ġham terā mil na jaa.e ġham-e-rozgār meñ

baaqī rahā na koī gila vaqt-e-vāpsīñ

kyā kah ga.e vo ik nigah-e-sharmsār meñ

ik mashq-e-iztirāb rakkhā hai naam 'ishq

uf bekasī ki vo bhī nahīñ iḳhtiyār meñ

bazm-e-suḳhan meñ aag lagā 'suhail' ne

kyā bijliyāñ thiiñ ḳhāma-e-jādū-nigār meñ

uf kya maza mila sitam-e-rozgar mein

kya tum chhupe the parda-e-lail-o-nahaar mein

sau sajde ek laghzish-e-mastana-war mein

allah kya ada hai tere baada-KHwar mein

rokun to mauj-e-gham ko dil-e-be-qarar mein

saghar chhalak na jae kaf-e-rasha-dar mein

kis se ho phir umid ki tar-e-nazar mera

KHud ja ke mil gaya saf-e-mizhgan-e-yar mein

KHud husn be-niyaz nahin faiz-e-ishq se

KHu mere dil ki hai nigah-e-be-qarar mein

wo mast-e-naz husn main sarshaar-e-arzu

wo iKHtiyar mein hain na main iKHtiyar mein

aashob-e-iztirab mein khaTka jo hai to ye

gham tera mil na jae gham-e-rozgar mein

baqi raha na koi gila waqt-e-wapsin

kya kah gae wo ek nigah-e-sharmsar mein

ek mashq-e-iztirab ka rakkha hai nam 'ishq

uf bekasi ki wo bhi nahin iKHtiyar mein

bazm-e-suKHan mein aag laga di 'suhail' ne

kya bijliyan thin KHama-e-jadu-nigar mein

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

uf kya maza mila sitam-e-rozgar mein Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now